Aaj yun hi...is zehen me uthi ek baat..
ek chanchal sa ehsaas..kuch gehre, bhule bisre alfaaz..
kya zindagi se yahi chaha tha maine..kya khud se yahi manga tha maine??
in sawalon me jujhna nahi chahta main...in dayron me simatna nahi chahta main...
par inke saath chali aati hui un yaadon ka bhanwar...kuch thode se nam, thode manoram..
un kaagazon ke purzon me na jane kitne sapne range the meri syaahi ne...waqt ne jaise unhe mitaane ki saazish si chali ho...
sangeet ke un chhe chhandon ko apni dhuno se sawaanra tha maine..mere nishan abhi bhi hain unme...meri goonjen abhi bhi samayi hai unme..
kya maine khud ke iraadon se kiya hai chhal...kya maine khud ki koshishon ka kiya hai aatmghat..
na chahte hue bhi fansta sa chala raha hun in sawaalon me...jinke jawabon se bachata aa rha tha khud ko..
sach se ru ba ru hone hi ghadi phir chal padi hai..phir ghanseet rahi hai mujhe in sawaalon se duur..
phir kuch der ke liye ye dhundle saayon ki tarah kho jayenge kahin...kabhi aur aisi tanhaaiyon me meri ruuh to sateyenge..